Friday, July 16, 2010

Reaching Out.

Shah Faisal Mosque, Islamabad.


Khuda Aur Us Ki Bandi



A poem by Meherzaidi.



Aur tu samajhta hai ke mein ne chor diya hai us ko tanha kaise?

Naheen,
Who jo aik laghar si hai boorhi si tanha aurat
Laitee hai, simtee hai, kuch cheetrey phailaaye

Taktee hai tujh ko, mujh ko apnee pathraaee huwee benoor si aankhon se

Woh jo ek laghar si, boseeda si, pasmanda aurat

Basti hai, sisakti hai, Jinnah aspatal ke peek zada footpath ke paas

Mein jo Kulle Makan hoon, apni muthee mein dono jahan ki saari basaat liye
Us ki be jaan si, sisaktee hui siskee suntan hun

Us ki tasbeeh peh hoon Qaim, apni Shaan liye!
“Subhan Allah”
Aur yeh sach hai ke Qaim yuheen azal ta abad
Aur mein us ki sheh rag se bhi qareeb
Qaim, Daa’em
Azal ta abad

Jab who taktee hai musalsal ek tiktakee  bandhe
Mein us kee sheh rag se bhi qareeb hoon us ke
Jab who taktee hai tiktakee bandhe

Aur tu kiyun us ki jaan naheen lota deta?
Aur us ki baste huwee khotee huwee zindagi
Us peek zada foot path ke saaye, saaye
Woh  to sach’chi hai kehtee hai jo
“Subhan Allah”
Aur Mein hota hoon us ki sheh rag se bhi qareeb uskey
Qaim, daa’em
Azal ta abad
Apni saaree khudai ki tamaam shaan liye!


Translation

God and His worshipper woman

Do you think that I have left her all alone yet?
Nay, Not that old, wretched lonely woman
Who lies on the torn shreds of cloth
Alone on the ‘paan’ spit stained footpath
Of the Jinnah hospital.
Who stares with her eyes un-enlightened,
Blind eyes at you and Me
Me, who is everywhere
Me, who has both the worlds in the palm of His hands

I listen to her weak, lamenting cries
I am existent on her repetitive rosary
With my Majestic Presence
When she says “ Subhan Allah”

And this the Truth,
That I exist
From before the beginning to eternity
I am there close to her
Even closer than her aorta
Always present!
Especially when she stares continuously
I am there close to her
Even closer than her aorta

And why do not you return back to her, her life?
Her happy, her sad life
Near the’paan’ stained footpath
She speaks the Eternal  Truth
When she says “Subhan Allah”

I am always there, present,
Closer to her than her own aorta
Always Present
Always There
In all my Godly Majesty!