Aaj Quetta mein qayamate sughra ka manzar tha
khoon luthre laashe
Zakhmi jism aur tootey dil
Mein bhi yuhin bhatakti rahee
Un saare logon ke saath jo apne piyaaron ko dhoondte rahey
mein apne khoone jigar ko ponchtee rahe
Par woh ristaa raha
tapakta raha
mera dard
Na mitne waala karb
Mein nahi bhulun gi apni maaon behnon beityon aur bhaayon keh dil ka dard
har roz jo woh sehtey hain
hai koi charagar?
Jo is par marham rakhey
hai koi rokney waalaa
Is berehm islam ke pairokaaron ko
kia yahi Islam hai?
mein bhi Musalmaan hun
Par ab meraa sar jhukaa hai sharam se
jab koi kehtaa hai keh Proud to be a Muslim
To mein mun phair laitee hun
Hiqarat se meri peshaani par bal pardh jaatey hain
jaisey woh jhoot boltaa ho
Kufr baktaa ho
I am not proud to be Muslim
not in these times
Not in Pakistan
kaise apne kalegey ko smbhalon?
Swat ke berehm dard bharey hamley dekh kar
Aaj Swat mein aik qayamat ka manzar thaa
wahan dard ka surkh darya beh raha tha
aise piyaari jaga ko in darinda sifat logon ne aik jahanum bana diya
Yeh zaalim apne khuda keh farmaan ko bhi jhutlaatey hain
deen mein zabardasti nahin
Imaan daine waala bhi sirf Khuda hai
Puri duniya mein kai crore Musalman nahi
Kia sab ko maut ke ghaat utaaro gey?
Aur bechaarey shaheedon ne kia jurm kia?
hai koi yeh cheekh wa pukaar sun ne waala?
Bolo, hai koi madadgar?
No comments:
Post a Comment