Woh ek pagal si larki,
Chali hai piyaar dhoondne.
Is jehane faani mein
Is bewafa si dunya mein.
Aur woh doosri pagal si larki
Samajhtee hai paa liya usne piyaar
Is misle bulbula dunya mein
Is lamha-e mutalzal mein.
Dono pagal larkiyaan
Dhoondne chali hein piyaar!
Aisa napeid jazba
Jo aaj kal hai dastyaab
Kabhi bhadday laal laal qumqumon mein
Kabhi sastey valentine cardon mein
Aur kabhi kabhi us sajan ki aankhon mein
Woh sajan jo shayad mein ne khud banaya hai
Ek but
Mere dil-e Aazari ki tarash
Shayad yehi hai piyaar
Ek khayal, ek shumaar.
Aur mein sochtee rehtee hoon
Kiya hoga anjaam in dono ka
Ek bari, samajhdar aur parhee
Doosri pagal, pagal se.
Jaise azal se larkiyan
Sochtee ayee hain
Bhagtee, khailtee
Titliyaan pakarti
Kiya yahee hai piyaar?
Is hee tara chamkta, machalta
Jugnagoon
Lamiya
Bas na ho yeh ustarha
Jo bana gaya Anarkali ko
Nawishta -e deewaar!
Aur sab larkiyaan
Kiya dhoondtee hain titliyaan
Ek khwaab zada weerane mein
Jahan bhoolke bhi naam na lo
Is lafz ka jo hai piyaar!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment