Monday, June 20, 2011

AIK TOOTA HUA JAAM...THIS BROKEN GOBLET.

Haan bas hai mera dil ab aik toota hua jaam
Tu ne jisko thukra ke phaink diya dare maikhane pe nafrat se
Haan mera dil to hai faqat aik thukrayee hui kirchi bhare raakh
Jo tere hiqarat se hai zakhme, ghayal.


Haan mera dil to hai ab sare sham bujha
Tere ehsaas mein ghayal
Tere is dard se bojhal
Aur ab hogee har aik raat sulagtee hui us raakh numa
Jo sulagtee he rahe, kabhi bujh na paye
Yeh meri shorishe dil yad -e rafta ki tarha roshan , bujhtee
Aik chingaree jo har dam hai jalane ko mujhe tayyar


Aur  woh bhool gaya hai mere us piyaar ka lams
 Aur mein toot gayee us ka intezar liye
Ab dikhane ko bhi nahin aankh ka aansoo usko
Ab sulagta hua dil bhi ho aakhire shab ka musafir jaise
Shayad use ehsaas ho ke us ne maar diya hai mujh ko
Par nahin woh nahin samjhe ga abhi
Ab khatam is haseen daastan ka wajood
Ab hai thanda woh lamase dil ka giriftar tanoor
Aik sard sa bosa hai mujhe yaad faqat ab aakhir
Us ki aankhen bhi na dekheen ke mein kehte shayad
Us ka tha piyar ka faraib shayad saccha


Ab to yeh dile ghayal nahin paata hai qarar
Aur us ki hai ilzaam tarashi eik neza-e talwar
Woh mujhe karke hai ghayal buhat khush abhi
Aur mera dil to hai ab reza reza yuheen
Aur mera dil to hai ab kirchee kirchee
Aik toote huey thukraye huey jaam ki tarha
Ab sambhal pa na sakoon gi mein hargiz hamdam
Tu ne ab tordh diya dil ko mere jam numa.


Translation:


Ah, my heart is like a broken goblet
That which thoust thrown away with hatred
My heart is nothing but a broken hearse
Full of ashes dimly lit
The shadows dark and tall on the walls
Nothing but like an injured caged bird.


My heart is now doomed early in the evening
Injured by your feelings
Seething in the pain of your love
Now each night will be like a dimly lit ashen hearse
Lit eternally, never cooled
My heart's wanton desires burn
Like a fire lit in the memories past
Burning, extinguishing.


Alas , my lover forgets my love's sweet embrace
I stand broken waiting for him
My tears run dry
My heart is still at the end of the night
May be my lover  will know someday how I died
But, alas, he will not know soon, not now.


And now the sweet love's tale ends
The fiercely lit fire is now cold
In the end there is but a cold kiss
O, how I longed to see his eyes
O, how I longed to see his deception.


Alas, my heart will never find peace now
Alas, his accusations are like lances
He smiles while my heart is injured
My heart is broken, splintered
My love is now broken, ashen.





No comments:

Post a Comment