Tera Hisaar Mera Sarab
Aur woh aahista aahista tang kar raha hai apna hisaar
Mere zehan ki us khulee khirkee par
Mera zehan jo hai ek aazad panchee ki tarhe
Kabhi zakhmi kabhi ghayal
Kabhi bezaar kabhi mayal
Aur yeh mera dil bhi to hai
ghayal panchee ki tarhe
Kabhi zakhmi kabhi
bojhal
Aur kia mein us ko dikhaon
Yeh dil-e ghayal ghayal
Woh to hai abhi ek khayal-e subhe nau ki terha
Abhi saada abhi mushkil
Abhi uthtee hui eik umade nau ki tarha
Pehla ehsaas
Ya phir shayad
Tera bhoola huwa aik mohoom khayal
Jo kabhi raat ke pichle pehar mein ajaae achanak aise
Kisee sotey huwe dard ko jagane ke liye
Aur woh aahista aahista karta hai tang apna hisaar mere dil par
Mein apnee khalish chupane ko hun baichain abhi
Mein tarptee hun abhi us ko chupane ke liye
Aik boseeda tamanna ka wajood
Aik muhabbat ka hisaar
Aik tootey hue jaam ka toota hua
Ghayal sa khumaar
Aake ab bhairdh do yeh boseeda dar-e maikhana
Jis ki deemak bhi hai ab toote huae lashe ki tarha
Jis ke boseeda shaarb ab deti nahin hum ko khumaar
Jis ki boseeda sharab ab deti nahin dil ko sukoon
Ab tau dil bhi hai har waqt khamosh, jalta , bujhta
Aur woh tang karta hai apna hisaar mere dil se qareeb
Mere us mazeeyi boseeda ki hai raakh kured
Shayad mere dard se woh aajae mere dil ke qareeb
Aur rakh de mere toote huey dil pe apna woh haath
Aur le le mere peeshanee ka bosa jaise
Aur mere gaal ko woh choomle halke halke
Shayad woh soch raha hai abhi aise
Aur mein mehsoos kar rahi hoon us ka hisaar
Dil bhi shayad abhi mehsus kare halke halke
Aik mohoom si pur umeed kiran
Shayad aik chingari sulag jaye halke halke
Aur ab us ka hisaar hai jaala jaala
Mere is dil-e boseeda pe tang halke halke
Mein usey rok dun haan phir bhi nahin
Mera yeh zehan hai mayal halke halke
Aur woh aahista aahista apna hisaar tang kar raha hai
Mere is dil ke dareeche pe halke halke
Meherzaidi, the poet. |
No comments:
Post a Comment