Mein chu ke tujh ko khush huwe hun
Bahar ka intezar kar rahe hun
Yeh sehne gul bhi hara huwa hai
Damak raha hai
Mein tere dil ko samajh rahi hun
Bahar ka intezar kar rahi hun
Tu ab hai aata mere chaman mein
Umang ki roshan kali ke peechey
Tarap rahi hun
Yahan khari hun
Bahar ka intezaarkar rahi hun
Yeh gul khile hain
Chaman hare hain
Mere is dil ki har ek galli bhi
Mehak rahi hai
Yeh aarzoo bhi dehak rahi hai
Mein jaagti hun
Na so rahi hun
Yahan khari hun
Bahar ka intezaar kar rahi hun
Mein sochte hun
ke shayad abke
Tu aake dekhe
mere is man ko
Tatole dil ko
Samandaron ke hisaar par bhi
Mein ab khari hun
Ulajh gaye hun
Yahan khari hun
Bahar ka intezar kar rahi hun
Yeh mera dil bhi sulag raha hai
Dehak raha hai
yeh ghuncha dil ka
Mehak raha hai
Mein sochtee hun
Yahan khari hun
mein jal rahi hun
sulag rahi hun
Bahar ka intezar kar rahi hun
Woh nama bar bhi
samajh raha hai
Palat gaya hai
Na bolta hai
faqat yahan mein
abhi khari hun
Bahar ka intezaar kar rahi hun
Translation
I touch thee
I touch Spring
Ah, how adorned is this garden
Blooms' abandon
Shining
I touch your heart
I touch Spring
Lo and behold
You enter this garden
Of love's sweet promise
I stand and wait
I touch Spring
The flowers bloom
The meadows shine
Perfume adorned valleys
My heart's desires burn
I cannot sleep
I lie awake
I touch Spring
I wait for your touch
On my heart
I wait for you eyes
To see my heart
Shake my heart
I Search
I wait and stand by the sea
By the sea embrace
I am confused
I stand and wait
I touch spring
My heart is burning
My heart pounds
My heart simmers
I wait
I think
Your love's perfume fills
The garden of my desires
I touch Spring
The postman knows
He has turned back
He does not speak
I stand alone
Here
This moment
I wait for Spring!
Meherzaidi, the poet. |
No comments:
Post a Comment