Tuesday, June 8, 2010

Dil Darwaza Aur Singhar...Heart Door and Vanity!

Aur jab us ne dil darwaza kharkhaya
Woh hone lagi tayyar, karne lagi singhar
Aankh ka kaajal,
Paon ki payal
Haath ki mehndi
Kaan ki baali
Dene lagi gawahee
Surkh labon ki Muskan
Zulfun ka haijan
Uth,tha girta aanchal
Machane laga ek shorish zada halchal
Woh gaal ka til bhi bol raha hai
Ek uljhan zada daastan

Kabhi hanstee thee, kabhi rotee thi
Kabhi jaagti thee , kabhi sotee thi
Aur har lamha sochtee rehtee thi
Aaye ga woh is ko sab kehne
Aur kare gee woh bhi iqraar
Yunhee jaari tha intezar
Har lamha har pal tha beqarar
Thee us ke gulshan mein ajab si bahar
Pur umeed , pur waqar

Aur phir woh kabhee na aya!
Shayad woh  bhool gaya
ke karti thi woh uska intezar!

Woh saare khat jo arsaal huey the
Woh saare parche phaar diye
Kuch roshan daan se phaink diye
Kuch angeethee mein dagh diye

Sab surma daani , hont ki laali
Sab choori mehndi,
Sab paoon ki payal
Sab pethi mein hain bandh diye.
Sab dafan huey hain 
ek heuwla ban kar!

Ab jab bhi sawan aata hai
Aur papeeha shor machata hai
Ek baarish dil par girtee hai
Har boondh hai bojhal zakhmon se
Har soo ek gehra saya hai
 Aur cheekh raha hai sannata
Khamosh hai payal
Gum sum hai bahaar.
Aur band hai dil ka darwaza
Weeran hai piyar ka suna mandir
Hain Umeed ke saye jaala jaala
Jape hai woh bas ek dukh ki maala
Jogan jogan, Raanjha Raanjha
Bhool gayee hai woh Sohni, Heer
Ban ke Sassui, ban ke Shireen
Kitne sawan beet chuke hain
Jab Khula tha dil ka darwaza!

English Translation:

He knocked the door to her heart
She started adorning.
Kohl in her eyes, Anklet in her feet,
Henna in her hands
Earrings bejewelled.
Spoke thus
The sweet smile on her pink lips
The movement of her tresses
Her falling, moving scarf
Evidence of storm ridden torment
Thus speaks the the mole on the cheek
Of the hidden torment!

She laughed and she cried
She lay awake and slept sometimes
And all the while she thought 
That he would come to express his love
And that she would acknowledge
her sweet passion
Thus continued her wait
Each moment a torment, a tempest.
So was her heart's garden in bloom
In a stange elegant anticipation.

But he never came.
Maybe he forgot that she waited.
And all the  letters  were torn to pieces.
Some thrown out of the ventilator
Some burnt in the chimney.
All kohl container,lip stainer,
All bangles, henna,
All anklet, earrings
Put away in the box.
All buried  like ghostly apparitions

And now when the rains arrive
and the Robin tweets endlessly
The rain falls in her heart
each drop heavy with eternal sadness
All around is endless darkness
And screams the eternal silence
Quiet is the anklet,
Silent , the spring.
Closed is her heart's door.
Empty, abandoned
her heart's unadorned mandir.
Her hopes like spider webs
She "japaays" her "dukh maala".
She's the gypsy of love like "Raanjha"
She has forgotten that she is
"Sohni" , "Heer".
She is like "Sasui", "Shireen".
She has forgotten the endless rain seasons that have passed
Since the heart's door was open to love.




 

1 comment: