Friday, February 11, 2011

Ehsaas..Tere Wajood Ka Lams: Your existence ,my feelings.

Mein ne tujh ko mehsus kiya hai kaise kaise
Kabhi ungliyon ki poron se shuru hoker halke halke
Ek dile dereena ki khwahish ho ataktee jaise
Ek halqoom e girifta ki dabi cheekh ho atkee, atkee
Ek mere aankh ka moti ho jo tara tara
Kabhi behta, kabhi atka, sulagta, bujhta
Kabhi palkon ki sajawat ka woh moti banta
Aik anmol sa heera kabhi jalta, bujhta
Mein ne mahsoos kiya hai tujhe kaiose kaise


Tera yeh karbe judai jo na tha itna shadeed
Jab mere jism ka hua tha pehla ehsaas
Meri aankhon ke sitare the woh roshan roshan
Aur mere paon ke paayal he the bin payal cham cham
Mere sar par the woh phoolon ke mehekte huay taaj
Joh har ek dosheeza-e nau ki karte hain wajood ki nau
Aur the sab range baharan uththe roshan
Ab woh ek khwab ki tarha hai hewla manind
Jaise hon Sadequain ke kanton bhara pehne huaiy taaj
Ab woh garmee-e ehsaas hai thandi, thandi
Aur yeh karb mere dil ka haiy jalta bujhta
Jaise ho jai ek haseen sham ke baad
Saahile darya pe rakhee huwee woh aag ki raakh
Joh eik haseen sham ki naghmageen geeton ke hujoom
Mein guzaree ho doston ne shauq ke saath
Jehan goonje hon naghmae sartab buland
Aur ek misle jashn hum hon naachte haste
Ek teri aankh ka ho jam-e khumaar behka behka
Aur mere dil ki ho sachayee bhi behki behki
Kaheen roshan hon kuch khwaab halke halke
Kaheen ehd-o -paimaan hon thaamte huey haath
Aur tere gaal pe woh cherta, hansta hua til
Mere dil ko gudguda ke tharakta hua jaise
Woh jawanee ki umang
Woh jeevan ki uthaan
Ab tau ek hewla-e yaad-e rafta hain bane
Isee sahil pe men ab bhi teheltee hoo akaile akaile
Aur yeh paoon hain jab bhi is reti pe hain parte udhte
Mere ehsaas ka woh halka sa karb hai ubharta jaise
Joh tha jaagta, josh marta mere dil ke ander
Eik jawan khuwahishe tauqeer thi dil ke andar
Garm joshee-e hayat mein tha har pal masroor
Aur thi jolaniye tabyat bhi bhari har dam
Kabhi aise kabhi waise
Yuheen harsoo hardam
Saare the khwab nikalte hanste gaate
Tere un lab kusha jalwon se pare
Teree ungleeon ki poron se kuch aage aage
Mere us wajood ki ek tasweer banate the woh rangeen roshan
Mein tera ehsaas kartee thi palkon se zaroor
Tera woh cherdh ke jaana hai mujhe yaad abhi
Goke woh ehsaas hai madham abhi aur door
Wohee lamhe joh the aag alao dehkate
Dil-e bechen se paon talak mehkaate
Yehi the ek gawahee tere wajood ki gawahee dete
Aur baaqi tha mera ehsaas unke tufail


Ab jab bhi mein chaltee hun saahil ke kinare kinare
Aur mere boseeda se paon pardhte hain geelee reit pe
Tera ehsaas mujhe karta zinda
Tera ehsaas dilaata hai mujhe
Apne wajood ki sachayee ka ek lamha-e zauq.


Translation:


Oh how I have felt thine sweet touch
From the beginning of my fingers
Gently , caressingly
Like a rare heart's desire
Like a soft scream
Waiting to be set free
Like a pearly teardrop of my eye
Shining like a star
Sometimes flowing, sometimes held back
Simmering , burning
Sometimes like a pearl necklace on my lashes
Like a precious diamond Alight or hidden
Oh how I have felt thine sweet touch.


The pain of your separation was not so intense before
Whence the reality of my body's feeling had dawned
Oh how my eyes were shining bright
Like stars in heaven
And the sweet melody was coming from my anklet
Even without adorning it
My head adorned with fragrant flowers crowned
Like a virgins sweet first bloom
The spring's color were aplenty, abound
All that is but a dream now
Like a shadow of a dream lost
Like the thorn crown adorned head
Of Sadequain
That warm feeling is cold as ice
My heart's light is low and flickering
As quiet as a dark night's spent ashes  on the beach
Those that after a night's songful festival abound
Spent in the beloved's arms
Where lovers danced in rapturous embrace
Drinking the sweet heady wine off the beloved's eyes and lips
My heart was full of love's sweet heady trance
Like dreams awakening in love's warm desire
Where the vows of love taken with holding hands
I was smitten by the mole on your sweet cheek
That teased my heart with joy and pleasure
Ah that was the youth's warm desire
Rising, promising
But now it is but a fading distant dream


I stroll gently on the same beach
These worn out feet tread the sand
The feeling of longing rises in my heart
That which is simmering , smoldering
Like a a young heart's desire to be loved
Life was whence pregnant happily with the warm desires 
Sometimes hence, sometimes whence
All the dreams danced singing happily
Sometimes hence, sometimes whence
 Sometimes here, sometimes there
Away from your astounding beauty
Away from the sensitive tips of your fingers too


They painted a picture bright and shining
Of my existence, those moments of desire
I felt you with  the  lashes of my eyes
I remember your loving teasing
Though that feeling is dull and far away now
Those were the moments of burning fire
From my restless heart to my feet 
Fragrant with love's warm desires
Those were the moments that witnessed
My existence
Those were the moments of truth.


 Now as I stroll along this beach
My worn out feet feeling the cold sand underneath
Your desire makes me alive 
Your desire gives me that moment of truth
That precious moment of my existence.



























No comments:

Post a Comment